Wishing the management & my friend at HUMNRI a very happy Valentine Day 2010

HAI YEH ALLAH KA KARAM- Valentine Day GHAZAL 2010
Qata
Tarasti hai ufk meiN zamiN jaise, aasmaaN se milne ke liye
maiN bhi taRpooNga aaise, gar faasle ham meiN huye

GHAZAL
Hai yeh allah kaa karam, too banaa meraa sanam meri khushiyaaN haiN teri, tere gam mere gam

kab kahaaN kayoN ham mile, haiN yeh janmoN ke sile diloN ki dhaRkan meiN, payaar ke phool khile aaa-o khaayeN yeh kasam, ab na hoNge judaa ham

Payaar ki baateN kareiN, bhool ke saare gile har baar aise mileN, jaise pehli baar mile TooTe na dil koi, bane apnaa yeh dharam

Har ghaRi ho milan ki, har milan payaar kaa ho Har saaNs isliye aaye . lab pe naam yaar kaa ho duniyaa meiN yaksaaN chaleiN, aur uTHE apne kadam

'Ashk' ki baat naa kar, hai voh tujh pe fidaa kab se hai bhool gayaa, thaa kabhi tujhse judaa uski duniyaaN tujhse shuroo, aur voh tujh pe khatam

Glossary Qata- Introductory shayer ,ufk-sky horizon, sile- result, yaksaan-together Fida- in love